KRISHNA SHIKSHA GYAN IN HINDI .......... |
Friends aaj
apse ek saval puchte hai . sona or lohe mai kya antar hai . ab jayadatar logo
ka ans hoga ki sona hi kimati hai . gold ki kimat lohe se kanhi jayada hai –
han ye sahi hai . lakin hame ye nahi bhulna chahiye ki sona hamare sharingar ka
kary karta hai , hame thoda or sundar dikhata hai
Dusari taraf
loha un sainiko ki dhal or talvar bankar raksha karta hai jo thud hamari raksha
karte hai ye sainik nahi to ham bhi nahi . so ab btaiye sone ki kimat adhik
hone se lohe ki kimat cam hui –bilkul bhi nahi
Isi tarah
aap apne jeevan mai aap chahe kitne prayas kare , kuch na kuch esa jarur hoga
jo apko kabhi nahi milega – jiske karan thud ko heen (kam) samajh lena galat
hai . ho sakta hai aap mai vo gun ho jo is duniya mai Kisi ke pas na ho . us
gun ko samjhiye , use bdhaiye , use apne pas sahej kar rakhiye ,
Yaad
rakhiyega sansar mai her ek parson vishesh hota hai or sansar mai sabhi ko sab
kuch nahi milta , thud dekh lijiye –sone ko jis dukan mai sahej kar rakha jata
hai us dukan ke tale lohe se bane hote hai .
2.friends
sansar mai sabse adhik mahnga kya hai ,sabse adhik mulyvan kya hai – ab koi
kahega sona , koi kahega hire-moti . ab ye kitni mulyvan hai chalo kuch sone se
ham ek moti kharid skate hai . kuch motiyo se ek man . kuch manko se kharid skate
hai ek hira .
Is duniya ka
sara dhan kharch karke bhi ham jo nahi kharid skate hai vo hai ek pal . kya sach mai samajh aya sach to yahi hai ki is
sansar mai sabse adhik mulyvan hai –samay
Vahi samay
(time) jo ham ese hi kharch kar dete hai . bin matlab kabhi kuch asha mai ,
kabhi gam mai , kabhi beeti hui bate yaad karke kabhi bhavishay ki chinta mai .
Is time ka
hame upyog karna chahiye , is samay ka sdupyog Karke hame dhan kmana chahiye ,
mahan kary karne chahiye , acche cam karne chahiye , hmara astitav vishal bnana
chahiye , sabme khushi batni chahiye
Agar ham
sansar se chale bhi gaye to ye sansar hame jane nahi dega . yaad rakhiyega yahi
par Kisi na Kisi ke liye prenna bankar ,
Kisi par krityagta (Kisi ka mushkil mai sath dena ) ki muskan bankar rahenge aap .
3.friends
apko kabhi bhi apke raste mai , apke ghar mai , apke office mai , kanhi bhi
apko koi sanp dikhai de to , aap kya karte hai . us sanp se door bhagne ki
koshish karte hai ya us sanp kop door bhagane ki koshish karte hai
Sochte hai
sanp se mukti mile kanhi ye akar hame das na le –hai na
. so ab sochiye is sanp
ke pas mani ho to aap kya karenge , tab bhi kya aap vahi karenge ,kya sanp se
door bhagne ki koshish karenge
Or dekhiye
kesi ajeeb se baat hai . manushay sanp se door bhagta hai bhale hi uske pas
mani ho . lakin yahi manushay dhanvan or sampan “(ameer) rishto ke pas thud
chalkar jata hai . koshish karta hai us par unki kripa bani rahe or sare cam
sirf dhan labh ke liye hote hai .
Yaad
rakhiyega chahe roopvan ho , chahe dhanvan ho .. dusht to dusht hi hai or in
rishto se duri bnakar rakhne mai hi bhalai hai . pas unko rakho jinke man mai
prem ka amrit ho . pas unko rakho jinke jeevan mai karm ka asra ho ..
4.tnav ,dbav
ye nam kuch jane pahchane lag rahe honge –ku
Kyonki is sansar
mai her vyakti ke jeevan mai tnav or dbav hai hi . lakin her parson uske sath
vo nahi kar pata jo use karna chahiye . is tnav or dbav ko hatane ke sthan par
vo usi dbav ka bandi bankar rah jata hai
Chaliye apko
is prakriti ka ek udaharn dete hai vo samjhane ke liye jo samjhna apke liye
jaruri hai . kabhi Kisi paid (vriksh) ko dekha hai us par aap fool bhi dekhte
hai fal phi dekhte hai . Kisi phol ko hath mai lijiye or use dbakar dekhiye
.usme se itr(ras) niklta hai jo hame accha lagta hai
Ab Kisi fal
ko dba kar dekhiye usme se ras niklta hai vo bhi hame accha lagta hai matlab tnav or dbav hame Kisi bhi samay ,
Kisi bhi shan hame todne ke liye nahi hai . ye aate hai apko vo btane ke liye
ki ab apko bheetar (andar) se prerna ko jgana hoga or adhik
prisharm (mehnat )
karne honge . ab apko sarvshreshth banna hoga . kabhi bhi is tnav or dbav se
door mat bhagiye maan lijiye ye jeevan ka ang hai . ise positive side se dekhna seekh jaiye .or agar aapne ye seekh
liya to yakeen many apka vastvik matlab sahi mai vikas yanhi se shuru hoga .
5.kisi
pathar ko dekha aapne kitna gol , kitna chikna hota hai na. baccho ko aksar
iske sath khelna bohat accha lagta hai or kyu NA accha lage kitna sundar kitna
sakht hota hai .
Par kya apne
kabhi socha hai ye pathar pahle kya tha . Kisi vishal Parvat ya Kisi bohat badi
chattan ke bohat bde pashan ka tukda . jo kanhi se nadi mai gira or nadi ki
dhara ke sath bahta chala gaya . chattano se ragdta raha , rait ke kano se
ragdta raha . or dheere –dheere tab jake
isne ye gol akar paya .
Ab ham bhi
isi patthar ki tarah hi hai . yaad rakhiyega apka se savroop , apka ye
personality bhagvan ki den nahi hai . han prakriti ne avashay hame janam diya
hai lakin ham khud apni personality(vyaktitav) ke rachyita hai .
Or aap ye
personality bnate hai –kathinaiyo ka samna karke ,sankto ki dhara paar karke .to
aap bhi isi patthar ki tarah prayas karte rahiye . apna
astitav bnate rahiye .
6.vyakti kab
safal ho kab asafal , kab hani mile kab labh ,kab jeet mile kab haar –ye sab
kispe nirbhar hai ? jayada log kahenge parisithiti par . hmm theek bhi hai –
agar bahar barish ho Rhi ho to bahar
kapde kese sukhaye ja skate hai
Samudr mai
siclone(chakrvaat ) ho to naav kese par karai ja sakti hai .
Lakin agar
mai apko sacchai btau to –asaflta ka karan halat nahi hai . un halato ko
savikar kar lena chahiye kayonki her ek ke jeevan mai ese halat avashay ate hai
–jab ham chahte hai lakin halat ( parisithiti ) ko badal nahi skate . use bdlna
asambhav ho jata hai .
Ese mai upay
ek hi hai parisithiti ( halat ) ko nahi mnosithiti ( man ) ko badliye to sab
kuch accha hoga kayonki apki apke sochne ka najriya her parisithiti ke liye
apke jeevan ka sabse bda bal or sabse bda shara hai .
Apyash
(bejati ) asaflta her ek ke jeevan ka hissa hai hi . lakin apko hamesha prayas
karte rahne honge . girne ke baad dobara khada hokar age bdhna hoga tabhi
saflta milegi
Agar itna
aasan hota saflta pana to her koi safal hota . kyu
Mulyankan:- friends ummed hai apko ye aaj ka ank jarur pasand ayega apko aaj ki bate jarur samajh ayengi . agar acchi lage to please jarur shere kijiye or hame comment karna na bhule . taki hamara bhi kuch hosla badh sake . please acchi lage tab bhi acchi na lage tab bhi hame btana na bhule . taki jo bhi kami hogi ham usko sahi kar sake . dhanayvad
0 comments:
Post a Comment