ESE VICHAR JO APKI ZINDAGI KE LIYE SOCH BADAL DE........... |
Friends sagar- sagar kitna bda hota hai na . ye sagar kya Nahi kar sakta . minute mai hi sab kuch bigad sakta hai . sansar mita sakta hai ye sagar . jeevan jyoti bujha sakta hai . agar kuch nahi bujha sakta hai to vo hai ek pyase ki pyas
Or dusari
taraf ye gagar{ghda } kitna chota hota hai na ise lekar orate 10-10 km tak chal
sakti hai . kintu yahi chota ghada binso ki pyas bujha sakta hai . ab btaiye
pani sagar mai bhi hai or
ghade mai bhi
phir itna antar kyu – yanha par antar
hai bhav ke savbhav mai . ek mati mai meetha pani sanjokar rakta hai to
dusara apne khare pani se Kisi ko bhi
mitti mai mila sakta hai.
So aap kya
banna chahenge ? sagar ka khara pani bankar
Kisi ki aas mitana chahenge ya ghade ka meetha pani bankar Kisi ki pyas bujhana
change| fensla apka hai
2.friends is
duniya aap Kisi se bhi puch lijiye ki uska sabse bda dushman kon hai – so her parson
ke pas Kisi na Kisi parson ka naam avshay hoga jise vo apna dushman manta hai ..
Chalo aaj
apko ek sacchai btate Hai –is dunia mai apka sabse bda dushman koi or Nahi ,
apka sabse bda dushman hai –bhav . apke andar ke emotions . ye bhav {emotions}
apko khatam bhi kar skate hai . apko dukhi kar skate hai . bhav jese ahankar
,lobh , moh apke patan ka karan ban skate hai . ghaman Kisi or ko khud se niche
{tucch} samjhane par majboor kar deta hai ,
Moh apko
vyakul karta hai . matlab moh mai ek alag tarah ki becheni hoti hai , lobh apki
icchao ko or bdhata hai , gussa jiski aag sabse pahle apko hi jalati hai . ab
jese ham Kisi or dushman ke bare mai sochate hai kese is dushman ko haraya jaye
, ise kese maat di jaye . – par inhe hrayenge kese jab ye bhav apke hi andar
hai
So kya hai
koi hathiyar . jisse ye bhav hamare andar se chale jaye – han hai or vo hai santushti | yahi santushti hai jo apke man ko
shant rakhegi , yahi santushti hai jo apko sukh or khushi ke sagar tak le Jayegi
, isliye jeevan mai hamesha santushat rahiye ki jo mila kaafi hai usi mai
khushi dhundiye |
3.friends
pta nahi kyu insane ye baat kyu nahi samjh pata ki rang , roop . astha. Vichar .
isse kanhi upar hai insaniyat . or insaniyat ka ek hi dharm hai or vo hai prem
. to yahi prem aap sabme bante rahiye , prem se sabki seva karte rahiye . is
insaniyat ka amrit chakh ke dekhiye phir apko pta chalega ham sab alag –alag nahi
sab ek hi hai
Example-friends
jese goshala mai kitane hi rang roop ki gany hoti hai Kisi ka rang kala yo Kisi
ka safed . Kisi ke sing bade hai to Kisi
ke chote , . koi gany akar mai badi hai koi choti laikin jab ye gany dudh deti
hai to kuch bhi alag nahi hota . sab sman hota hai . rang saman , svad sman .
gun sman , poshtikta sman , to antar hai kanha .
so rang roop badlne se sacchai
nahi badal jati gany to gany hi rahegi . yahi baat insane par bhi lagu hoti hai
. ham insane bhi sab ek hi hai
.
4. friends
kya aapne kabhi socha hai ki bhagvan ne hame do ankhe di hai , do kaan diye hai
, do hath diye hai , lakin muh ek hi diya hai . jeebh{jban } ek hi di hai . esa
kyu ? kya karan ho sakta hai iske peeche – iska karan hai ki bhagvan chahte hai
ki ham dekhe jyada , sune jyada , kaam jyada kare lakin bolo kam
Ab agar aap
gor se sochenge to hamari jeebh ko bhi kitna soft bnaya gaya hai taki in kathor
danto ke beech asani se rah sake ab iske peeche bhi koi karan hoga ..ki hamare
shabad or hamari boli bhi isi tarah soft honi chahiye
Yaad rakhiyega
muh se shabad kathor niklenge to uska result bhi kathor hi hoga . so soft or
asan or meethi boli ke sath her Kisi se baat kijiye |
Mulyankan:-
friends ummed hai apko ye aaj ka ank jarur pasand ayega apko aaj ki bate jarur
samajh ayengi . agar acchi lage to please jarur shere kijiye or hame comment
karna na bhule . taki hamara bhi kuch hosla badh sake . please acchi lage tab bhi
acchi na lage tab bhi hame btana na bhule . taki jo bhi kami hogi ham usko sahi
kar sake . dhanayvad
0 comments:
Post a Comment