Us
seekh ko aap karmo mai parivartit karenge , prem se is sad gyan ko apne jeevan
mai layenge , iska prayog kijiye tab
milegi apko is mantr ki shakti anyatha ye mantr padh ke apko koi labh nahi hoga
,yaad rakhiyega mantr ki shakti use bolne mai nahi hai ,use amal karne mai hai
2. Friends
chaliye aaj apse ek prashan puchte hai – insane andhakar se bhaybheet rahta hai
esa kyu?
Iska
utar hai ki is andhkar mai manushay kuch dekh nahi pata , na age dekh pata hai
na peeche , aaspas kya hia samajh nahi pata , na apni raah dekh pata hai , na
apna lakshay , iske karan vah apna vishvaas kho deta hai , or isi karan se
bhaybheet ho jata hai .
Chaliye
aap se ek or prashan karte hai , kya is sansar mai itna andhkar hai ki ek chote
se diye ke astitav kop hi mita de ? ans – nahi
Ulta
ye diya andhkar ko chunoti deta hai . svayam jalkar sansar ko prakash deta hai ye chota sa diya , ab jab
ye chota sa diya andhakar se bhaybheet nahi hota to bhala aap kyu asaflta se
bhaybheet hote hai | apke bheetar ek amar atama hai . bas avashyakta hai to us
atama kop jagane ki , apne bheetar ki is urja ko jagakar to dekhiye , sab kuch
dikhega
3. Krodh
– krodh kya hai kon nahi janta , her aayu ,har varg , ke vyakti ko krodh ka
anubhav ho chukka hai , balki Kisi ka to parichiye hi isi prakar diya jata hai
ki ye vyakti antyant krodhi hai isse tanik bach ke rahna
Ab
krodh kya hai ham sabhi jante hai parantu ye krodh kya kar sakta hai ye bohat
cam log jante hai , krodh kuch is prakar hai Kisi jalte hue angare ko pakdna or
Kisi or ki or fekhna . ab iske peeche aap ki mansha hoti hai ,samne vale ko
jalane ki kintu usse pahle to savayam apke hath pahle jal jate hai . to yaad
rakhiyega – jab bhi aap kabhi Kisi or par krodh karte Hai sabse pahle vo apke
vinash ka karan banta hai , jab is sansar
mai karne ke liye prem hai to krodh karna hi kyu ,yahi prem sab mai
bantiye
4. Aksar hamare pas ek bhana hota hai ,ek soch hoti
hai ki is sansar mai ham kare to kya kare , jo ham karna chahte hai vo pahle hi
koi kar chukka hai hamre pas to kuch karne ke liye hi nahi hai
Yadi
apko example du to is pooja ki thaliyon ko dekha hai apne kabhi , usme pahle se
hi sab tyaar karke rakh diya jata hai . ab ese mai ham sochate hai ki kya karna
shesh hai ,sab kuch to pahle hi ho chukka hai , ab yanha samsya kartavy mai
nahi ,yanha samsya hamari soch mai hai ,ham ye sochne mai vyatit karte hai ki
kya ho chukka hai ,balki hame ye sochna chahiye ki kya karna ab bhi shesh hai
,jisme ham apna yogdaan de skate hai ,samjhe ….. sansar mai esa koi kary nahi
jo pura ho , sabhi use age bdhane ka prayas kar skate hai , aap us kary ko or
shreshath bna skate hai bas avshayakta hai to skaratmakta ki
Mulyankan:
so friends hamesha apni ,man ki suniye . kabhi bhi nakamyabi se ghabraiye nahi
. kya pata usse badi safalta hmara intajar kar rahi ho . ek choti si umeed bhi
bohat kuch de jati hai insane kop .to paryaso kop cam mat kijiye .. yaad jitna
age chalkar aye hai apne sapne ke liye . agar quit karna pda to phir utni hi duri
vapis chalni padegi ,so isse behtar hai ek or paryas ….dhanayvad
0 comments:
Post a Comment