JEEVAN KE MOOL MANTR.......... |
1.Friends
samsya parisithiti mai nahi manosithiti mai hoti hai | sakaratmak drishtikon se
her samsya ko dekhiye to sahi , her samsya mai uska hal apko svayam mil jayega
or kuch rahega to keval or keval khushi .
Example- kanha kahte hai ki mujhe acche se yaad hai ek baar ek gany van se nikal kar
hamare ghar chali ayi , hamne bde prayas kiye use vapas van mai bhejne ke kintu
vo nahi gai . maine maa ko dekha maa ne kaha acchi hi to baat hai ishvar ka
ashirvaad hai jo goa mata svayam chal kar hmare pas ayi hai , ab to kanha or
balram ko or dudh peene ko
mil jayega , kuch dino tak vo gany hmare
sath rahi uske baad vo khud hi van mai lot gai , nand baba nirash ho gaye ,
maine fir maa ko dekha maa ne kaha accha hi to hai ab gobar uthane ka shrm nahi
karna padega , us din jo kanha ne jo seekha vahi aap bhi isi example se seekh
skate hai |
2. friends kitani bar esa hota hai ki aap koi
kaam karne jate hai or Kisi dusare parson ko sonp dete hai ab vo parson agar us
kaam ko pura nahi kar pata ,agar adhura chod deta hai ya theek se nahi kar pata
, ab is situation mai hota kya hai ? aap krodhit ho jate ho . ya us parson se
ruth jate ho ya use dante hai . uske baad aap us kaam ko karne ke liye khud jut
jate hai or akhir mai aap vo kaam pura kar hi lete hai
Ab isme
samsya us parson ki koshish ki nahi thi
, galti ye thi ki aapne us parson ke prati ummed rakhi . ham dusaro ke prati apni
ummed ko pehle rakhte hai or thud par bharose ko baad mai , balki hona ye chahiye
ki khud paqr bharose ko pehle rakhna chahiye or use apna shayak manna hoga .
yadi esa karoge to result or bhi accha or bhi khushi dena vala hoga . yaad
rakhiyega is sansar mai apka sabse bda madadgar or koi nahi , is sansar mai
sabse bda taranhar or koi nahi aap khud hai|
3. friends
aap logo ne aksar suna hoga Kisi bhi dharmik anushthan mai betho ya Jab bhi koi
puja karni ho . kuch arpan karna ho bhagvan ko , simran karna ho to kaha jata
hai kin aha dhokar , kesh aadi dhokar hi puja kare . laikin agar tan ke dhulne
se jayada man ko dhoya jaye to ,
Matlab kilog tan ko to roj dhokar .nahakar apne isht ki aradhna karte hai laikin unke
vichar , unka man vahi rahta hai jo ek
saal pahle tha . man ko kabhi dhote hi nahi , so tan ko dhone se jayada man ko
dhokar puja ki jaye to bhagvan avashay prasan honge . maine aksar dekha hai ki
log teeka to laga lete hai mathe par .laikin kabhi unme unke isht ki koi jhalak
dikhai nahi deti , matlab vyavhar mai tan pe to bhasam laga lenge ,teeka lga
lenge , mala pahan lenge laikin man par apne isht ki ek bhi baat chapne nahi
denge ,man ko apna hi rakhte hai ……lakin yaad rakhiye parmatma tan lagane se
nahi man lagane se milte hai
4. friends
her parson hamesha bharosa karta hai upar uthne Mai , uncha or uncha uthne mai laikin vastvikta
to ye hai ki jab tak shikhar ko chuo , upar uthne mai maza nahi ayega matlab
khushi nahi milegi ki upar bhi aye or choti ko bhi na chu sake
Example- ab
aap dekhiye jab barish hoti hai , jab ye aasman se girti hai to dharti bhi iska
svagat karti hai kayonki barish hoti hai dharti ki pyas bujhane ke liye ,
barish hoti hai to jangal baag khil uthte hai
, mor-papihe nachte hai , gate hai isliye nahi ki barish giri balki
isliye ki sabko khushi den eke bhav se giri isliye ,
Ab agar usi
sthan par kadakti hui bijali gir jaye to ye prakriti bhaybhit ho jati hai ,
matlab ye bhav bohat jaruri hote hai . sabse pahle isi bhav ko dekhiye ki is
bhav mai agar prakriti ka srijan {nirman} hai to samajh lijiye sab kuch shubh
hai |
5.friends
sukhi jeevan ka mulmantr hai ki jo apke vash ami nahi , us par rone se koi
fayada nahi hoga , apka dhyan keval us par lagaiye jo apke vash ami hai , jo
badal chukka hai use ab aap nahi badal skate ,,,,laikin jise aap badal skate ho
us par dhayan lagaiye ….is jeevan mai thoda positive baniye to dekhna sab accha
hoga ..nai
Example-friends jab barish ke mosam mai bahat
tez barish hoti hai , tez havanye chalti hai , tab aapne aksar dekha hoga ki
pakshiyo matlab inke ghosale aksar tut jate hai |nasht ho jate hai | lakin kya
kabhi aapne us vaqt in pakshiyo ko rote
hue dekha hai |kabhi nahi
Jese hi
barish rukti hai , ye dobara tinka –tinka jodkar apna ghosala dobara bna hi
lete hai , apna sansar vesa bna lete hai jesa pahle tha | or esa kyu kayonki is
chakarvat se inka koi lena dena hai hi nahi | vo bas vo karte hai jo unke hath
mai hai or yahi hai sukhi jeevan ka mul mantr jo apke vash mai nahi us par
dhayan mat do jo vash mai hai us par dhyan lagao ,result sach mai boahat accha
hoga
6. friends
jab bhi ham Kisi vriksh ko dekhte hai , to sabse pahle hamari aankhe dekhti hai
uske phulo ko , hare-bhare patto ko , kinto vo kathor nisvarth jad usse to ham
kabhi akarshit hote hi nahi , ab
kya iska matlab hai ki jisne balidan diya ho , jo us vriksh ki neev hai ,jisne
us vriksh ko bdhaya uska koi mol hi nahi |nahi! Yaad rakhiyega jab bhi ham Kisi
vriksh kop jal dete hai to uske patto , phalo , ya phulo ko nahi uski jad ko
jal dete hai
Jab bhi ham
Kisi vriksh ki pooja karte hai to yahi phool , yahi tilak ham uski jad ko arpit
karte hai
Matlab ki ye
prakriti kanhi na kanhi apko matlab hame
hamre jeevan mai vo maan de hi deti hai jiske ham patr hote hai jo hame milna
chahiye or isliye to krishan kahte hai kit u
karm kiye ja phal ki chinta mat kar tujhe vo maan avashay milega jiska tu
haqdar hai bas bharosa rakh
Mulyankan:- friends aaj ke liye itna hi ummed
hai apko aaj ka ye ank pasand ayega . jo aapne seekha use apne jeevan jartur
utariyega . apko parinam acche hi milenge . so friends ham phir milenge kuch or
acchi baato ke sath . agar apko ye vichar acche lage to jarur ise shere kijiye
. hame comment mai jarur btaiye ki kesa laga apko ye ank chahe accha lage ya
bura tab bhi . hame apke jvab ka intzar rahega , dhanyvaad
0 comments:
Post a Comment